Sunday, November 20, 2005

" Man "

Inn uchaiyoon ko chhoone ki chahat mein ,
Bhool jaate hain hum apne aao ko hi,
Apna wajood kaayam karte karte,
Khud hi kho jaate hain iss duniya mein kahin ,

Apne man ki lalkaar sunke ,
Socha tha maine jeevan mein kuch kar dikhaunga;
Par jab mein pahuncha manzil pe,
To paya, wahan to sirf mera shareer tha , (shareer = body)
Man to mar gaya tha beech raste mein .

Mein roya cheekha chillaya,
Par kuch kar na saka ,
Maine hi ki thi uski hatya ,
Apne inhi safal haathon se ,

Maine khud ko di dilasa,
Ki man nahin hai to kya hua ,
Manzil to saath hai mere ,
Par mujhe ahsaas tha iss baat ka ,
Hoon mein kitna akela, inn uchchaiyyon pe.

Kya galti thi meri, maine apne aap se poocha,
Shayad sirf rasta hi to galat chuna tha ,
Par, us lalkaar ka bhi to jawab dena tha,
Aur phir, mere apno ne mujhe kyun nahin roka ,
Pata nahin, woh mere saath the ki manzil ke .

Par ab wilap karne se kya fayda ,
Sochta hoon, apne jeevan ko nayi disha doon,
Kisi murjhaye hue ko aasha ,
Aur kisi rote hue ko hansa doon ,
Shayad iss se mera man to nahin ,
Uska kuch ansh hi jeevit ho jaye .................

6 Comments:

Anonymous Anonymous said...

Yeh pehli waali se jyada simple hai :)
Khair, endsem ki taiyari kar le fir apne mann ko jeevit karna..
varna mann ke saath saath shareer se bhi haath dhona pad jayega..;)

Chal all the best.. nice work once again.

bbye

Tue Nov 22, 10:26:00 PM  
Anonymous Anonymous said...

nice one!!

Tue Nov 22, 10:59:00 PM  
Blogger Sidharth said...

Thanx Manish and Hemant
N dude I will definitely stick to ur advice........

Wed Nov 23, 05:00:00 AM  
Anonymous Anonymous said...

sid tumhare apno mein hum kahin na the, accha hai,
nahin to shayad hame kabhi aisa kuchh padhne ko nahin milta

Thu Nov 24, 03:00:00 PM  
Blogger Phoenix said...

Very nice!
bahut achhi poem hai...
the dpth is clear, and the words are nice..
**applause**

Sun Nov 27, 07:31:00 PM  
Anonymous Anonymous said...

sweet poem!
i think now i understand u better..
man aur shareer alag nahi hota
shayad tumhara man abhi bhi tumhare saath hai:->

Tue Nov 29, 07:05:00 PM  

Post a Comment

<< Home