Sunday, November 20, 2005

" Man "

Inn uchaiyoon ko chhoone ki chahat mein ,
Bhool jaate hain hum apne aao ko hi,
Apna wajood kaayam karte karte,
Khud hi kho jaate hain iss duniya mein kahin ,

Apne man ki lalkaar sunke ,
Socha tha maine jeevan mein kuch kar dikhaunga;
Par jab mein pahuncha manzil pe,
To paya, wahan to sirf mera shareer tha , (shareer = body)
Man to mar gaya tha beech raste mein .

Mein roya cheekha chillaya,
Par kuch kar na saka ,
Maine hi ki thi uski hatya ,
Apne inhi safal haathon se ,

Maine khud ko di dilasa,
Ki man nahin hai to kya hua ,
Manzil to saath hai mere ,
Par mujhe ahsaas tha iss baat ka ,
Hoon mein kitna akela, inn uchchaiyyon pe.

Kya galti thi meri, maine apne aap se poocha,
Shayad sirf rasta hi to galat chuna tha ,
Par, us lalkaar ka bhi to jawab dena tha,
Aur phir, mere apno ne mujhe kyun nahin roka ,
Pata nahin, woh mere saath the ki manzil ke .

Par ab wilap karne se kya fayda ,
Sochta hoon, apne jeevan ko nayi disha doon,
Kisi murjhaye hue ko aasha ,
Aur kisi rote hue ko hansa doon ,
Shayad iss se mera man to nahin ,
Uska kuch ansh hi jeevit ho jaye .................

Wednesday, November 16, 2005

Dil karta hai aaj unchi udan bhar loon
Ek pag mein us chand ko chhu loon
Koi bandhan na rok paaye mujhe
Har bandhan mein tod doon

Jeevan ke iss chaurahe par dekha
Har rah par dhund ghanera ( ghanera = dense )
Aur har rah par dikh raha
Us chand ka bimb sunehra (bimb = image )

Kahin hoti vraksh ki chhanv (vraksh = tree )
Kahin hota nikat padav ( padav = place to rest )
Kahin dikhti kareeb uski chhaya
Yunhi dolti rehti mere man ki naav

Kash aaj saath hota tumhara
Dhoondh leta mera man koi kinara ( dhoondh = search )
Chod gaye tum iss vaqt mujhe
Jab chahiye tha koi sahara

Agar tum saath hote mere
Na rehte yeh baadal ghanere
Phir chaand ka bhi kya karna mujhe
Jab saath nahin ho tum mere

Chaand ko pana to ek bahana hai
Tumhari yaadoon ko bhool jana hai
Apne iss sangharsh mein mujhe
Tumhare saath beete har pal ko bhulana hai

Unn palon ka zakhm, ab tak hara hai ( palon = plural of pal )
Inn aankhon ka paani, ab tak nahin thama hai (thamna = to stop )
Til til ke dard dete hain yeh
Tumhare bina mera man, ab bhi adhoora hai

Adhoore hain woh sapne bhi
Jo maine aur tumne sanjoye the kabhi
Dhul jayenge ye
Inn aansuon mein ye sabhi

Tham loonga mein, inn aansuon ko
Chhod doonga peechhe, uss beete hue kal ko
Chal pada hoon mein nayi raahon par
Mita doonga inn saanson se, tumhari mahak ko

Dil kehta hai aaj uunchi udan bhar loon
Ek pag mein uss chand ko choo loon
Tumko naa sahi
Uss chaand ko to apna keh sakoon.