Friday, June 02, 2006

Ek tanha saahil hoon mein.......

yeh saagar ki leherien,
gati se jhoomti hui aati hain,
aur thode sheetal pal dekar,
usi gehre saagar mein,
dheere se veeleen ho jaati hain.

mein chah kar bhi use,
kuch pal aur mere saath bitane ke liye,
rok nahin pata,

bus yoon hi use aate-jaate,
gaate-gungunaate hue,
dekhta rehta hoon,
aur intezaar karta rehta hoon,
uske aane ka,
ki kab woh aayegi,
aur mein ,
iss tanhai ko do pal ki liye bhula paaunga.

yeh saagar, yeh chattanein,
sab meri hi tarah shaant hain,
itne samay saath rehkar,
ab bolne ki zaroorat nahin mehsoos hoti,
ya shayad,
bolne ko kuch bacha hi nahin,

yeh chattanein,
thak chuki hain khade-khade,
ya shayad ladte ladte,
in behti hui hawaoon se,
har pal ek tukda,
gir padta hai mujh par tut ke,
pata nahin yeh ansh,
us dvand mein bikhra hai,
ya uska koi,
dard bhara aansoo hai,

mein bhi ro deta hoon kabhi kabhi foot ke,
yeh tanhaai ab aur bardaasht nahin hoti,
chupa leta hoon apne aapko is asmaan ki god mein,
par wahan bhi sooraj ki yeh kirne,
mera peecha nahin chodti,
tapa kar mujhe,
bahar nikalne par majboor kar deti hain,

tab mein... aur bhi bekrar ho jaata hoon,
in lehron se milne ke liye,
apne zakhmon ko rahat dene ke liye,
par yeh leherein bhi jab,
in hawaoon ki tarah rooth jaati hain,
tab mere zakhm,
yoon hi tapte reh jaate hain,
aur mein,
bilakhta rehta hoon,
is akelepan mein.

kaash is vishaal sagar mein,
main bhi doob sakta,
aur khatam kar sakta apni is tadap ko,
shaayad.......isme bhi abhi waqt hai,
par dheere-dheere mere ansh,
veeleen ho rahe hain is vishaal saagar mein,
in leheron ke saath,
aur mein har pal..apne aap ko,
is saagar mein samate hue dekhta hoon,
aur intezaar karta hoon us leher ka,
jo ek pal mein mujhe,
baha kar le jaayegi is saagar mein,
aur mein mukt ho jaaunga,
is tapan aur akelepan se.